
Zindagi har waqt smooth nahi hoti. Kabhi kabhi aise lamhe aate hain jab lagta hai sab ruk gaya hai. Lekin tabhi ek chhoti si line, ek shayari — motivation ka kaam karti hai. Isi liye aaj main lekar aaya hoon kuch motivational shayari aur attitude shayari jo aapke andar ke fighter ko jaga degi.
Yeh shayariyan maine khud feel ki hai, apne doston ke saath share ki hai — aur har bar inhone mujhe himmat di hai.
Motivational Shayari
Raaste mushkil hain, par hausle bhi kam nahi,
Manzil milegi, jab thak kar rukna humne seekha hi nahi.
Wo log kya girayenge mujhe jo khud sambhal nahi paate,
Main khud hi apni taqat hoon, kisi aur se kya darna.
Haar nahi manunga, rukunga nahi,
Manzil ki talaash mein thak jaunga shayad, par jhukunga nahi.
Asli maza to tab hai zindagi mein,
Jab mushkilein ho aur jeet apni ho.
Kabhi tod kar dekho apne darr ko,
Zindagi wahi se shuru hoti hai jahan darr khatam hota hai.
Jo sapna dekha hai, use poora karna hai,
Chahe raatein neend se door kyu na ho jaayein.
Chhote mann se koi bada nahi hota,
Aur toote hausle se koi jeetta nahi.
Attitude Shayari in Hinglish
Jaise main hoon waise hi rahunga,
Mujhe badalne ki koshish mat kar, tu khud hi badal jayega.
Humse jalne wale bhi kamaal karte hain,
Mehfil khud ki hoti nahi aur charcha humara karte hain.
Main jhuk jaun wo meri fitrat nahi,
Aur kisi ko jhuka doon, ye mera ghamand bhi nahi.
Kad badhane ke liye sir jhukana nahi aata,
Khuddari mein jeene ka maza hi kuch aur hai.
Humse takraane se pehle soch lena,
Kyunki sher chahe akela ho, jungle usi ka hota hai.
Tevar aaj bhi wahi hain jo kal the,
Bas log samajhdar ho gaye hain.
Abhi waqt hai udaan baaki hai,
Abhi to imtihaan baaki hai,
Abhi to maapi hai mutthi bhar zameen,
Abhi to saara aasman baaki hai.
Motivational Shayari Kyu Zaroori Hai?
Kabhi kabhi ek chhoti si line dil mein aisa josh bhar deti hai ki har problem chhoti lagti hai. Chahe student ho ya businessman, apni kahani likhne ke liye motivation zaroori hai. Aur ek zabardast motivational shayari ya thodi si attitude shayari — aapko wahi fuel deti hai jo aage badhne ke liye chahiye.
Last Words – Apne Andar Ki Aag Ko Jagao
Yeh shayariyan sirf words nahi, yeh aapke andar ki energy ko boost karne wale jazbaat hain. Aaj try karo — ek status lagao, ya kisi doston ko bhejo — dekhna kaise positivity feel hoti hai.
Agar aapke paas bhi koi killer motivational ya attitude shayari ho, comment mein likho — chalo milke inspire karte hain!
Write a comment ...